Guru Iktisa in English

Shri guru dev dayal ko man me dhyan lagai

Asht sidhi navnidhi mile, man vanchit fal pai

Shri guru charan sharan me aayo, dekh daras ati sukh paayo

Dutt nam dukh bhanjan hara, bijli patra taley dharnara

Upsham ras ka kand kahve, jo sumiray fal nischay pave

Dutt samppati daatar dayalu, nij bhaktan ke hai pratipalu

Bavan veer keeye vash bhari, tum sahib jagme jaikari

Jogni chosath vashkar leeni, vidhyapothi pragat kini

Panch peer sadhe balkari, punch nadi punjab majhari

Andho ki ankhe tum kholi, goongo ko de deeni boli

Guru vallabh ke pat virajo, surin me suraj sum sajo

Jug me nam tumaro kahiye, partikh surtaru sam sukh lahiye

Isht dev mere guru deva, guni jan muni jan karte seva

Tum sum aur dev nahi koi, jo mere hitkarak hoi

Tum ho surtaru vanchit data, mein nishdin tumrey gun gata

Parbrahm guru ho permeshwar, alakh niranjan tum jagdishwar

Tum guru nam sada sukhdata, japat pap kotikat jata

Kripa tumhari jin per hoi, dukh kasht nahi pave soi

Abhyadan data sukhsari, parmatam puran brahmchari

Maha shatki bal budhi vidhata, mein nit uth guru tumhe manata

Tumhari mahima hai atibhari, tuti nav nai kar dari

Desh desh me thamb tumhara, sangh sakal ke ho rakhwala

Sarv siddhi nidhi mangal data, dev pari sab seesh namata

Somvar punam sukhkari, guru darshan avey narnari

Guru chalne ko kia vichara, shravika roop jogni dhara

Keeli ujjaini majhdhara, guru gun aganit kia vichara

Ho prassana deeney vardana, saat jo pasre mahi darmeyana

Yugprdhan pad jan hitkara, ambad man churn kardara

Mat ambika prakat bhavani, mantra kaladhari guru gyani

Mughal putt ko turant jilaya, lakhon jan ko jain banaya

Dilli mein patshah bulavey, guru ahinsa dhwaj fairavey

Bhado chaudash swarg sidhare, sevak jan ke sankat tare

Jo pujey dilli mein dhyavey, sankat nahin sapane mein aavey

Aise dada sahab mere, hum chaakar charanan ke chere

Nishidin bheru gore kale, hajir hukam kade rakhwale

Kushal karan lino avtara, sadguru mere sanidh kara

Dubti jahaj bhakt ki tari pankhi rup dharo hitkari

Sangh achambha manme lave, guru vyakhyan mein haal sunave

Guruvani sun sab herkhaye, guru bhav taaran taran kahae

Samaysunder ki panchnadi me, fat gai jahaj nai ki chhin mein

Ab hi sadguru meri bari, mujh sam patit na aur bhikhari

Shri Jinchandsuri maharaja, chorasi gachh ke sirtaja

Akbar ko abhaksh chhudayo, amavas ko chand ugayo

Bhattarak pad naam dharave, jai jai jai gunijan gaave

Lakshmi leela karti aave, bhookha bhojan aan khilave

Pyaase bhakt ko neer pilave, jaldhar unn vela le aave

Amrit jisa jal barsave, kabhi kal nahi padne paave

Ann dhan se bharpur banave, putra pautra bahu samppati paave

Chaamar yugal dhule sukhkari, chatra kirania shobha bhari

Raja rana sheesh namave, dev-pari sabhi gun gaave

Purab pachhim dakhshintai, uttar sarv disha ke maanhi

Jot jagti sada tumhari, kalptaru sadguru gandhari

Vijayindra surishvar raje, chhadidaar sevak sang saje

Jo yah guru iktisa gaave, sundar lakshmi leela paave

Jo yah path kare chitlai, sadguru unkey sada sahai

Baar ek so aath jo gave, rajdand bandhan kat jave

Samvat aath doi hazara, aaso teras shukkar vara

Shubh mahurat var sinh lagan mein, puran kino baith magan mein

Sadguru ka sumiran kare, dhare sada jo dhyan

Pratah oothi pahiley padhe, hoi koti kalyan

Suno ratan chintamani, sadguru dev mahaan

Vandan Shri Gopal ka, leejey vinay vidhan

Charan sharan me mein rahu, rakhiyo mera dhyan

Bhool chook maafi karo, hey mere bhagvaan.

2 Replies to “Guru Iktisa in English”

प्रातिक्रिया दे

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *